Saturday, 10 July 2010

do gadi woh jo aas paas rahe- mere dil ke kareeb

Fursat mein bathaoonga kisse dil lagaya tha
Woh junoon jisse main guzra tha
Lamha lamha tadaptha uske deedar ko
Aisa hi koi haseen shaam ka mahoul tha


jazbaat se bhari woh shaam thi
mahoul ek dum thi roohani
uski nazar ne di ek muskurahat ki ladi
wahi tadap gaya mera dil, farsh pe pade
naa suni usne woh betaabi ke aah
naa dekhi woh tarasti nigaah
jaa rahi thi woh mujhe chod ke aakhri baar
ho naa paayegi ab roz roz uska deedaar

No comments: